Subha Tayba Men Hui


LYRICS


Subaha Taybaa Mein Huwee Bat-Taa Hai Baada Nuur Kaa
Sadqa Lene Nuur Kaa Aayaa Hai Taara Nuur Kaa!

Tere Hi Maathe Rahaa Ay Jaan Sahraa Nuur Kaa
Bakht Jaaga Nuur Kaa Chamkaa Sitaara Nuur Kaa

Main Gadaa Tuu Baadshah Bhar De Piyaala Nuur Kaa
Nuur Din Duunaa Teraa De Daal Sadqaa Nuur Kaa

Taaj Waale Dekh Kar Teraa `Imaama Nuur Kaa
Sar Jhukaa Te Hain Ilaahi Bol Baalaa Nuur Kaa

Sham`A Dil Mishkaat Tan Seenaa Zujaajah Nuur Kaa
Teri Suurat Ke Liye Aayah Hai Suurah Nuur Kaa!

Tuu Hai Saayaa Nuur Kaa Har `Uzw Tukdaa Nuur Kaa
Saaye Kaa Saayaa Na Hota Hai Na Saayaa Nuur Kaa!

Teri Nasl E Paak Mein Hai Bachcha Bachcha Nuur Kaa
Tuu Hai `Ayn E Nuur Teraa Sab Gharaana Nuur Kaa!

Chaand Jhuk Jaata Jidhar Unglee Uthaate Mahd Mein
Kyaa Hi Chaltaa Thaa Ishaare Par Khilawnaa Nuur Kaa

Kaaf Gesu Haa Dahan Yaa Abruu Ankhen `Ayn Saad
Kaaf Haa Yaa `Ayn Saad Teraa Hai Chehraa Nuur Kaa!

Ay Raza Ye Ahmed E Nuuri Ka Fayz E Nuur Hai
Ho Gayee Meri Ghazal Badh Kar Qaseeda Nuur Kaa!